wo mast-e-naz aata hai zara hoshyar ho jaana
yahin dekha gaya hai be-piye sarshaar ho jaana
hamara shaghl hai raaton ko rona yaad-dilbar mein
hamari nind hai mahw-e-KHayal-e-yar ho jaana
lagawaT se teri kya dil khule malum hai hum ko
zara si baat mein khinch kar tera talwar ho jaana
abas hai justuju bahr-e-mohabbat ke kinare ki
bas is mein Dub marna hi hai ai dil par ho jaana
nahin darkar mai hum ko piye ja tu hi ai saqi
hamein to mast karta hai tera sarshaar ho jaana
Ghazal
Wo mast-e-naz aata hai zara hoshyar ho jaana
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub