wo masiha qabr par aata raha
main mue par rose ji jata raha
zindagi ki hum ne mar-mar ke basar
wo but-e-tarsa jo tarsata raha
wah baKHt-e-na-rasa dekha tujhe
nama-bar se KHat kahin jata raha
rah takte takte aaKHir jaan gai
wo taghaful-kesh bas aata raha
dil to dene ko diya par ham-nashin
hath main mal mal ke pachhtata raha
dekh us ko ho gaya main be-KHabar
dil yakayak hath se jata raha
kya kahun kis tarah furqat mein jiya
KHun-e-dil pita to gham khata raha
raat bhar us barq-wash ki yaad mein
sail-e-ashk aankhon se barsata raha
DhunDhta phirta hun us ko ja-ba-ja
dil KHuda jaane kidhar jata raha
us masiha ki umid-e-wasl mein
sham jita subh mar jata raha
ishq ka 'rana' maraz hai la-dawa
kab suna tu ne ki wo jata raha
Ghazal
Wo masiha qabr par aata raha
Mardan Ali Khan Rana