اردو हिंदी
Wo masaf-e-zist mein har moD par tanha raha | Shaahi Shayari
wo masaf-e-zist mein har moD par tanha raha

Ghazal

Wo masaf-e-zist mein har moD par tanha raha

Alqama Shibli

;

wo masaf-e-zist mein har moD par tanha raha
phir bhi honTon par na us ke koi bhi shikwa raha

jo sada tishna-labon ke waste dariya raha
umr bhar wo KHud ba-nam-e-dostan pyasa raha

aql hairan hai junun bhi dam-ba-KHud hai soch kar
wo hujum-e-kushtagan mein kis tarah zinda raha

phulne phalne ka mauqa to kahan un ko mila
nim-jaan paudon pe jab tak aap ka saya raha

'alqama-shibli' hawa kaisi chali gulzar mein
aashiyan mein bhi parinda waqt ka sahma raha