wo mar gaya sada-e-nauha-gar mein kitni der hai
ki saneha to ho chuka KHabar mein kitni der hai
hamare shahr ki riwayaton mein ek ye bhi tha
dua se qabl puchhna asar mein kitni der hai
muqabla hai raqs ka bagula kab ka aa chuka
magar pata nahin abhi bhanwar mein kitni der hai
KHuda-e-mahr aasman ujal de ki yun na ho
diye ko puchhna paDe sahar mein kitni der hai
hazar kufa o halab guzar rahe hain rose o shab
main jis taraf chala hun us nagar mein kitni der hai
KHirad ki tez dhup mein junun ka saeban khila
main bij bo chuka so ab shajar mein kitni der hai
abhi hamein guzarni hai ek umr-e-muKHtasar
magar hamari umr-e-muKHtasar mein kitni der hai
Ghazal
Wo mar gaya sada-e-nauha-gar mein kitni der hai
Ahmad Shahryar