اردو हिंदी
Wo man gae to wasl ka hoga maza nasib | Shaahi Shayari
wo man gae to wasl ka hoga maza nasib

Ghazal

Wo man gae to wasl ka hoga maza nasib

Hasan Barelvi

;

wo man gae to wasl ka hoga maza nasib
dil ki girah ke sath khulega mera nasib

khaenge rahm aap agar dil bigaD gaya
ho jaega milap agar laD gaya nasib

shab bhar jamal-e-yar ho aankhon ke ru-ba-ru
jagen nasib jis ko ho ye ratjaga nasib

pahra diya hai daulat-e-bedar-e-husn ka
soe jo wo baghal mein to jaga mera nasib

pahuncha ke meri KHak dar-e-yar tak saba
ruKHsat hui ye kah kar ab aage tera nasib

ai dil wo tujh se kahte hain meri bala mile
aise tere nasib kahan ai bala-nasib

jab dard-e-dil baDha to unhen rahm aa gaya
paida hui chamak to chamakne laga nasib

dushman ko lutf-e-wasl 'hasan' ko gham-e-firaq
har shaKHs ka juda hai muqaddar juda nasib