اردو हिंदी
Wo majburi nahin thi ye adakari nahin hai | Shaahi Shayari
wo majburi nahin thi ye adakari nahin hai

Ghazal

Wo majburi nahin thi ye adakari nahin hai

Parveen Shakir

;

wo majburi nahin thi ye adakari nahin hai
magar donon taraf pahli si sarshaari nahin hai

bahane se use bas dekh aana pal do pal ko
ye fard-e-jurm hai aur aankh inkari nahin hai

main teri sard-mehri se zara bad-dil nahin hun
mere dushman tera ye war bhi kari nahin hai

main us ke qaul par iman la kar KHauf mein hun
kahin lahje mein to zalim ke ayyari nahin hai