wo mahfilen wo misr ke bazar kya hue
ai shahr-e-dil tere dar-o-diwar kya hue
Dasne lagi hain hum ko zamane ki raunaqen
hum jurm-e-ashiqi ke saza-war kya hue
itni gurez-pa to na thi umr-e-dosti
ai KHanda-e-KHafi tere iqrar kya hue
phulon ne baDh ke panw mein zanjir Dal di
waraftagi mein mail-e-gulzar kya hue
jin ka jamal jannat-e-qalb-o-nazar raha
wo ham-nashin wo yar-e-tarah-dar kya hue
hum is tarah to yusuf-e-be-karwan na the
ai dil tu hi bata tere gham-KHwar kya hue
ummid-e-wasl-e-yar mein shab kaT di to kya
din Dhal gaya to nind se bedar kya hue
aane se un ke Dubti nabzen sambhal gain
aasan marhale mere dushwar kya hue
Ghazal
Wo mahfilen wo misr ke bazar kya hue
Zaheer Kashmiri