wo mahfilen purani afsana ho rahi hain
is bazm mein to shamen parwana ho rahi hain
shayad ki main bahut jald islam tark kar dun
baaten jo ek but se rozana ho rahi hain
hai had-e-dil se aage raftar us ke KHun ki
aur dhaDkanen bhi KHud se begana ho rahi hain
main hans raha hun sun kar bare mein zindagi ke
kya jism-o-jaan mein baaten bachkana ho rahi hain
bagh-e-badan mein us ke be-rang-o-bu rahe hum
ab KHwahishen ba-taur-e-jurmana ho rahi hain
pahle bhi ho rahi thin par sirf shairi mein
aankhen to ab ki sach-much mai-KHana ho rahi hain
miTTi ke kan mein ye kya kah diya hawa ne
sab KHwahishen badan se begana ho rahi hain
ek din jo 'farhat-ehsas' uTTha namaz paDhne
dekha ki masjiden KHud but-KHana ho rahi hain
Ghazal
Wo mahfilen purani afsana ho rahi hain
Farhat Ehsas