wo log jin ko hayat apni ghamon mein Dubi hui milegi
agar mere sath sath aaen to ek nai zindagi milegi
unhin ko han bas unhin ko ai 'qais' manzil-e-zindagi malegi
musibaton ke hujum mein bhi labon pe jin ke hansi malegi
qafas ki tarik KHalwaton par hain mo'tariz kyun ye ahl-e-duniya
chaman mein bhi aashiyan jalenge to phir kahin raushni milegi
main teri aankhon ke aasare par hi mai-kade se uTha tha lekin
ye kya KHabar thi ki teri aankhon se aur bhi tishnagi milegi
agar ujalon ki hai tamanna na bujhne pae charagh dil ka
ki dil mein jab raushni na hogi to har taraf tirgi milegi
qasam hai tum ko mere muqaddar ki yun sawaro na apni zulfen
tumhin agar uljhanen na doge to phir kahan zindagi milegi
ye log jo KHanda-zan hain mujh par inhen kuchh is ki KHabar nahin hai
ki meri rudad-e-gum-rahi se zamane ko rahbari milegi
Ghazal
Wo log jinko hayat apni ghamon mein Dubi hui milegi
Qais Rampuri