wo log bhi hain jo maujon se Dar gae honge
magar jo Dub gae par utar gae honge
lagi ye fikr nai dil ko aa ke manzil par
kahan bhaTak ke mere ham-safar gae honge
palaT ke aankh mein wo mauj-e-KHun nahin aai
chaDhe hue the jo dariya utar gae honge
chale to ek hi raste pe hum magar na mile
mile bhi honge to bach kar guzar gae honge
jo maut se na Dare wo bhi tere sath nahin
ki zindagi ke sawalon se Dar gae honge
jahan ye bagh hai pahle yahan bayaban tha
zarur idhar se tere KHush-nazar gae honge
jo shah-rahon pe dekhe hain log patthar ke
talab mein jine ki ye su-e-zar gae honge
hamari kisht-e-dil-o-jaan se us ki mizhgan tak
ye silsile tere ai chashm-e-tar gae honge
jo mil gaya hai to ab mujhe se haal-e-hijr na puchh
kisi tarah se wo din bhi guzar gae honge
'salim' zist to mushkil thi be-dayaron ki
watan se dur kahin ja ke mar gae honge

Ghazal
Wo log bhi hain jo maujon se Dar gae honge
Saleem Ahmed