اردو हिंदी
Wo log aaen jinhen hausla ziyaada hai | Shaahi Shayari
wo log aaen jinhen hausla ziyaada hai

Ghazal

Wo log aaen jinhen hausla ziyaada hai

Shakeel Jamali

;

wo log aaen jinhen hausla ziyaada hai
ghazal mein KHun ka masraf zara ziyaada hai

sab apne aap ko dohra rahe hain rah rah kar
wo is liye ki paDha kam likha ziyaada hai

ye sach hai koi farishta nahin mere andar
magar KHata ki ba-nisbat saza ziyaada hai

mera KHumar utar jae to ye faisla ho
teri sharab mein kya kam hai kya ziyaada hai

ghazal usi pe dar-e-iltifat kholti hai
jise lihaz riwayat ka ziyaada hai