wo lamhe bhule nahin rasm-o-rah ke ab tak
tasawwuraat hain dil mein gunah ke ab tak
baha ke le gaya sailab ganw ke manzar
gharaunde miT nahin pae hain chah ke ab tak
teri zaban se jo nikle the bad-dua bin kar
mujhe jalate hain shoale wo aah ke ab tak
kisi zamane mein shayad yahan pe maqtal tha
nishan batate hain ye qasr shah ke ab tak
wo KHwab dekhe zamana guzar gaya lekin
sulag rahe hain dariche nigah ke ab tak
jahan pe sae larazte hain teri yaadon ke
bula rahe hain wahi moD rah ke ab tak
kahi thi dar pe kal haq ki baat 'ahsan' ne
salib hath mein hai sarbarah ke ab tak
Ghazal
Wo lamhe bhule nahin rasm-o-rah ke ab tak
Nawab Ahsan