wo lamha jis se rang-e-zindagi nikhra hua sa
kabhi Thahra hua hai to kabhi guzra hua sa
baha kar le gaya sailab mein jo raat kya kya
wo dariya lag raha hai din mein kuchh utra hua sa
meri pahchan wo puchhe to kaise main bataun
main apne-ap mein simTa hun par bikhra hua sa
kahin be-rang si taswir hai kyun ai musawwir
kahin taswir ka har naqsh hai ubhra hua sa
yaqinan der tak tum ko hi dekha hoga us ne
tabhi to aaj darpan bhi hai kuchh sanwara hua sa
Ghazal
Wo lamha jis se rang-e-zindagi nikhra hua sa
Pawan Kumar