wo kya jawab de arz-e-sawal se pahle
na samjhe baat jo izhaar-e-haal se pahle
KHusha wo daur ki jab tha masarraton ka hujum
ruKH-e-hayat pe gard-e-malal se pahle
karishma-sazi-e-husn-e-tasawwuraat na puchh
wo aa gae mere dil mein KHayal se pahle
ye jaanta hun kisi chiz ko zamane mein
zawal ho nahin sakta kamal se pahle
KHuda-gawah ki main ne na di jagah dil mein
kisi KHayal ko tere KHayal se pahle
kuchh is tarah se hui zindagi ki barbaadi
koi misal nahin is misal se pahle
ghazal se pahle munasib hai sikh lo 'jauhar'
shuur-e-fan kisi ahl-e-kamal se pahle
Ghazal
Wo kya jawab de arz-e-sawal se pahle
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri