wo kisi bhi aks-e-jamal mein nahin aaega
wo jawab hai to sawal mein nahin aaega
nahin aaega wo kisi bhi harf o bayan mein
wo kisi nazir-o-misal mein nahin aaega
use Dhaalna hai KHayal mein kisi aur Dhab
wo shabahat-o-KHad-o-KHal mein nahin aaega
wo jo shahsawar hai tegh-zan rah-e-zindagi
mere sath waqt-e-zawal mein nahin aaega
yahan kaun tha jo salamti se guzar gaya
yahan kaun hai jo wabaal mein nahin aaega
use launga main sukut-e-harf-o-sada mein bhi
wo suKHan kabhi jo sawal mein nahin aaega
jo hain muntazir baDi der se unhen kya KHabar
nahin aaega kisi haal mein nahin aaega

Ghazal
Wo kisi bhi aks-e-jamal mein nahin aaega
Noon Meem Danish