wo ki har ahd-e-mohabbat se mukarta jae
dil wo zalim ki usi shaKHs pe marta jae
mere pahlu mein wo aaya bhi to KHushbu ki tarah
main use jitna sameTun wo bikharta jae
khulte jaen jo tere band-e-qaba zulf ke sath
rang-e-pairahan-e-shab aur nikharta jae
ishq ki narm-nigahi se hina hon ruKHsar
husn wo husn jo dekhe se nikharta jae
kyun na hum us ko dil-o-jaan se chahen 'tishna'
wo jo ek dushman-e-jaan pyar bhi karta jae
Ghazal
Wo ki har ahd-e-mohabbat se mukarta jae
Alamtaab Tishna