اردو हिंदी
Wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai | Shaahi Shayari
wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai

Ghazal

Wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai

Ummeed Fazli

;

wo KHwab hi sahi pesh-e-nazar to ab bhi hai
bichhaDne wala sharik-e-safar to ab bhi hai

zaban burida sahi main KHizan-gazida sahi
hara-bhara mera zaKHm-e-hunar to ab bhi hai

suna tha hum ne ki mausam badal gae hain magar
zamin se fasla-e-abr-e-tar to ab bhi hai

hamari dar-badari par na jaiye ki hamein
shuur-e-saya-e-diwar-o-dar to ab bhi hai

hawas ke daur mein mamnun-e-yaad-e-yar hain hum
ki yaad-e-yar dilon ki sipar to ab bhi hai

kahaniyan hain agar mo'tabar to phir ek shaKHs
kahaniyon ki tarah mo'tabar to ab bhi hai

hazar khinch le suraj hisar-e-abr magar
kiran kiran pe giraft-e-nazar to ab bhi hai

samundaron se zaminon ko KHauf kya ki umid
numu-pazir zamin-e-hunar to ab bhi hai

magar ye kaun badalti hui ruton se kahe
shajar mein saya nahin hai shajar to ab bhi hai