wo KHun baha ki shahr ka sadqa utar gaya
ab mutmain hain log ki dariya utar gaya
phir jama kar raha hun par-e-kah-e-sarguzisht
hairan hun ki zehn se kya kya utar gaya
aaseb raste mein shajar roz-o-shab ke the
jangal ke par main tan-e-tanha utar gaya
gharqab hauke sikhi hai gauhar-shanawari
patthar na tha ki pani mein gahra utar gaya
mujh ko to be-maza laga pani ka zaiqa
wo kaun tha jo dasht mein pyasa utar gaya
han haar man li teri yaadon ke ru-ba-ru
is bar kufr-e-sang mein tesha utar gaya
le aain kis faraaz pe lafzon ki siDhiyan
kaghaz pe hu-ba-hu wo sarapa utar gaya
aahaT ilaj hai dil-e-wahshat-pasand ka
rakha namak zaban pe ki nashsha utar gaya
'shahid' talash-e-rizq hai tair ki justuju
pani mujhe jahan nazar aaya utar gaya

Ghazal
Wo KHun baha ki shahr ka sadqa utar gaya
Saleem Shahid