اردو हिंदी
Wo KHush-KHiram ki burj-e-zawal mein na mila | Shaahi Shayari
wo KHush-KHiram ki burj-e-zawal mein na mila

Ghazal

Wo KHush-KHiram ki burj-e-zawal mein na mila

Saqi Faruqi

;

wo KHush-KHiram ki burj-e-zawal mein na mila
mujhe sukun sitare ki chaal mein na mila

majal de ke mujhe KHamushi wabaal hui
mera jawab wida-e-sawal mein na mila

wo na-shanas raha faKHera libason mein
agar mila to mohabbat ki shaal mein na mila

nazar mile to use dekh be yaqini se
jise qayam shab-e-ehtimal mein na mila

wo be-hijab meri yaad se hijab kare
ajib kya hai ki ab tak KHayal mein na mila

mera mizaj kisi ke mizaj se na mile
mera kamal kisi ke kamal mein na mila

safar mein rakh mujhe meri judaiyon se parakh
firaq de abhi KHak-e-visal mein na mila