wo KHud to mar hi gaya tha mujhe bhi mar gaya
wo apne rog meri ruh mein utar gaya
samundaron ki ye shorish usi ka matam hai
jo KHud to Dub gaya mauj ko ubhaar gaya
hawa ke zaKHm khule the udas chehre par
KHizan ke shahar se koTi to pur-bahaar gaya
andheri raat ki parchhaiyon mein Dub gaya
sahar ki khoj mein jo bhi ufuq ke par gaya
wo raushni ka musafir main tirgi ka dhuan
to phir bhala wo mujhe kis liye pukar gaya
mein apne soch ke ham-zad ka pujari tha
tera jalal meri aaqibat sanwar gaya
Ghazal
Wo KHud to mar hi gaya tha mujhe bhi mar gaya
Akhtar Imam Rizvi