wo KHud gaya hai us ka asar to nahin gaya
zad-e-safar gaya hai safar to nahin gaya
mausam hi sirf badla hai us ke mizaj ka
shaKH-e-samar kaTi hai samar to nahin gaya
duniya samajh rahi hai use bewafa magar
raste se uTh gaya hai wo ghar to nahin gaya
rah rah ke puchhti hai kaf-e-pa se chandni
is rah se wo rashk-e-qamar to nahin gaya
dasht-e-junun pe girya-e-baran tha raat bhar
diwana tera jaan se guzar to nahin gaya
kis baat se KHajil hun sar-e-koh-e-tur main
tab-e-nazar mein zauq-e-nazar to nahin gaya
bikhre paDe hain farsh pe wade nae nae
aaina-gar se aaina Dar to nahin gaya
tariq-'naim' rahne lage ho malul se
koi tumhaara KHwab bikhar to nahin gaya

Ghazal
Wo KHud gaya hai us ka asar to nahin gaya
Tariq Naeem