wo KHauf-e-jaan tha ki lab kholna gawara na tha
sadaen sahmi kuchh aisi suKHan ka yara na tha
tamam apne parae kaTe kaTe se rahe
chhuri jo chamki to us ne kise pukara na tha
ruKH-e-kaman tha udhar tir ka nishana idhar
hamara dost to tha aur magar hamara na tha
rafu-talab nazar aata hai dekhiye jis ko
libas-e-jaan to kabhi itna para para na tha
KHuda kare ki rahe mehrban sada tum par
azizo waqt ki ek lamha bhi hamara na tha
uDanen bharte parindon ke par katar Dalen
nazar ke samne aisa kabhi nazara na tha
hai dur hadd-e-nazar se to kya qayamat hai
hamare pas tha jab tak wo itna pyara na tha
Ghazal
Wo KHauf-e-jaan tha ki lab kholna gawara na tha
Nasr Ghazali