wo KHat ke purze uDa raha tha
hawaon ka ruKH dikha raha tha
bataun kaise wo bahta dariya
jab aa raha tha to ja raha tha
kuchh aur bhi ho gaya numayan
main apna likkha miTa raha tha
dhuan dhuan ho gai thin aankhen
charagh ko jab bujha raha tha
munDer se jhuk ke chand kal bhi
paDosiyon ko jaga raha tha
usi ka iman badal gaya hai
kabhi jo mera KHuda raha tha
wo ek din ek ajnabi ko
meri kahani suna raha tha
wo umr kam kar raha tha meri
main sal apne baDha raha tha
KHuda ki shayad raza ho is mein
tumhaara jo faisla raha tha
Ghazal
Wo KHat ke purze uDa raha tha
Gulzar