اردو हिंदी
Wo kaun hain phulon ki hifazat nahin karte | Shaahi Shayari
wo kaun hain phulon ki hifazat nahin karte

Ghazal

Wo kaun hain phulon ki hifazat nahin karte

Khursheed Akbar

;

wo kaun hain phulon ki hifazat nahin karte
sunte hain jo KHushbu se mohabbat nahin karte

tum ho ki abhi shahr mein masruf bahut ho
hum hain ki abhi zikr-e-shahadat nahin karte

quran ka mafhum unhen kaun batae
aankhon se jo chehron ki tilawat nahin karte

sahil se suna karte hain lahron ki kahani
ye Thahre hue log baghawat nahin karte

hum bhi tere beTe hain zara dekh hamein bhi
ai KHak-e-watan tujh se shikayat nahin karte

is mausam-e-jamhur mein wo gul bhi khile hain
jo sahib-e-alam ki himayat nahin karte

hum banda-e-nachiz gunahgar hain lekin
wo bhi to zara barish-e-rahmat nahin karte

chehre hain ki sau rang mein hote hain numayan
aaine magar koi siyasat nahin karte

shabnam ko bharosa hai bahut barg-e-aman par
'KHurshid' bhi danista qayamat nahin karte