اردو हिंदी
Wo kaun hai jo mujh pe tassuf nahin karta | Shaahi Shayari
wo kaun hai jo mujh pe tassuf nahin karta

Ghazal

Wo kaun hai jo mujh pe tassuf nahin karta

Sheikh Ibrahim Zauq

;

wo kaun hai jo mujh pe tassuf nahin karta
par mera jigar dekh ki main uf nahin karta

is there any person here who pities not my pain
but my courage needs be seen, for I do not complain

kya qahr hai waqfa hai abhi aane mein us ke
aur dam mera jaane mein tawaqquf nahin karta

calamity, that in her coming, there is such a wait
and my breath in leaving me does scarcely hesitate

kuchh aur guman dil mein na guzre tere kafir
dam is liye main sura-e-yusuf nahin karta

lest your heart, O heretic, otherwise misconstrue
with my breath the chapter of Yusuf I don't imbue

paDhta nahin KHat ghair mera wan kisi unwan
jab tak ki wo mazmun mein tasarruf nahin karta

my rival doesn't read to her my letter, anyhow
he tampers with its substance, ere he decides to show

dil faqr ki daulat se mera itna ghani hai
duniya ke zar-o-mal pe main tuf nahin karta

now my heart is so enriched with wealth of poverty
of care, for all the worldly wealth, I have been set free

ta-saf kare dil na mai-e-saf se sufi
kuchh sud-o-safa ilm-e-tasawwuf nahin karta

until the sufii's purified his heart with pure wine
no profit will he reap from knowledge mystical, divine

ai 'zauq' takalluf mein hai taklif sarasar
aaram mein hai wo jo takalluf nahin karta

save trouble, in formality, zauq nothing else can be
at ease he then remains he who, eschews formality