wo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin
main kuchh nahin hun agar chashm-e-imtiyaz nahin
kamal-e-ishq mein bhi lazzat-e-majaz nahin
taDap raha hun magar dil mein soz-o-saz nahin
to kyun wo garmi-e-mahfil wo dilkashi na rahi
niyaz-mand agar jaan-e-bazm-e-naz nahin
KHalish ke sath taDap hai taDap ke sath KHalish
hamare zahir-o-baatin mein imtiyaz nahin
ye wo kahe jo zamiron ka paDhne wala hai
talab nahin hai jo dast-e-talab daraaz nahin
abhi karam mein yaqinan sitam bhi shamil hai
ki dil maal-e-mohabbat se be-niyaz nahin
paDa hai un se mohabbat ka wasta 'naKHshab'
ki jin ko ishq-o-hawas mein kuchh imtiyaz nahin
Ghazal
Wo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin
Nakhshab Jaarchawi