اردو हिंदी
Wo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin | Shaahi Shayari
wo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin

Ghazal

Wo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin

Nakhshab Jaarchawi

;

wo kaun hai jo halak-e-nigah-e-naz nahin
main kuchh nahin hun agar chashm-e-imtiyaz nahin

kamal-e-ishq mein bhi lazzat-e-majaz nahin
taDap raha hun magar dil mein soz-o-saz nahin

to kyun wo garmi-e-mahfil wo dil-kashi na rahi
niyaz-mand agar jaan-e-bazm-e-naz nahin

KHalish ke sath taDap hai taDap ke sath KHalish
hamare zahir-o-baatin mein imtiyaz nahin

ye wo kahe jo zamiron ka paDhne wala hai
talab nahin hai jo dast-e-talab daraaz nahin

abhi karam mein yaqinan sitam bhi shamil hai
ki dil maal-e-mohabbat se be-niyaz nahin

paDa hai in se mohabbat ka wasta 'naKHshab'
ki jin ko ishq-o-hawas mein kuchh imtiyaz nahin