wo kaun hai jis ki wahshat par sunte hain ki jangal rota hai
virane mein aksar raat gae ek shaKHs hai pagal rota hai
phir san se kahin purwai chali khilte nahin dekhi dil ki kali
ye jhuT hai barkha hoti hai ye sach hai ki baadal rota hai
hai us ka sarapa dida-e-tar duniya ko magar kya is ki KHabar
sab ke liye aankhen hansti hain mere liye kajal rota hai
wo kis ke liye singhaar kare chandan sa badan yun rup bhare
jab mang jhka-jhak hoti hai aaina jhala-jhal rota hai
banti nahin dil se 'shaz' apni ye dost hai ya dushman koi
hum hain ki musalsal hanste hain wo hai ki musalsal rota hai

Ghazal
Wo kaun hai jis ki wahshat par sunte hain ki jangal rota hai
Shaz Tamkanat