wo kaun hai duniya mein jo majbur nahin hai
insan ko kisi baat ka maqdur nahin hai
har shai pe tere husn ka jadu hai azal se
kya chiz tere husn se mashur nahin hai
mahkum bana leta bashar arz-o-sama ko
lekin wo kare kya use maqdur nahin hai
duniya mein use aish-o-masarrat na milenge
wo dil jo gham-e-ishq se ranjur nahin hai
mana ki haqiqat ko samajhna nahin aasan
insan haqiqat se magar dur nahin hai
hai sahab-e-iman ki kami ahl-e-jahan mein
ek raaz bhi warna tera mastur nahin hai
uTTho ki zamane ko gunahon se bachaen
jo din hai qayamat ka wo din dur nahin hai
kuchh kijiye aamal sanwar jaen jahan mein
kuchh sochiye ab waqt-e-qaza dur nahin hai
tufan ki har mauj hai ek dars-e-haqiqat
sahil pe pahunchna mujhe manzur nahin hai
ehsas-e-sadaqat jo nahin ahl-e-talab mein
chehron pe bhi iman ka wo nur nahin hai
mana ki har ek ishrat-e-alam hai mayassar
insan magar aaj bhi masrur nahin hai
har qaum ka ehsas nahin jis ke amal mein
dar-asl wo jamhur bhi jamhur nahin hai
hai 'naz' ka har sher KHud ek sham-e-farozan
ye baat alag hai ki wo mashhur nahin hai

Ghazal
Wo kaun hai duniya mein jo majbur nahin hai
Naaz Muradabadi