اردو हिंदी
Wo kaun hai duniya mein jise gham nahin hota | Shaahi Shayari
wo kaun hai duniya mein jise gham nahin hota

Ghazal

Wo kaun hai duniya mein jise gham nahin hota

Riyaz Khairabadi

;

wo kaun hai duniya mein jise gham nahin hota
kis ghar mein KHushi hoti hai matam nahin hota

aise bhi hain duniya main jinhen gham nahin hota
ek gham hai hamara jo kabhi kam nahin hota

tum ja ke chaman mein gul-o-bulbul ko to dekho
kya lutf tah-e-chadar-e-shabnam nahin hota

kya surma bhari aankhon se aansu nahin girte
kya mehndi lage hathon se matam nahin hota

uDti thi wo shai aati thin jannat ki hawaen
ab rindon ka jamghaT sar-e-zamzam nahin hota

ye jaan ke kyun roega koi sar-e-turbat
sabze se juda qatra-e-shabnam nahin hota

ye shan-e-gada-e-dar-e-mai-KHana hai saqi
bhule se wo hum bazm-e-kai-o-jam nahin hota

mayus-e-asar ashk-e-anadil nahin hote
manus-e-asar girya-e-shabnam nahin hota

kuchh aur hi hoti hain bigaDne ki adaen
banne mein sanwarne mein ye aalam nahin hota

so rahte ho rote nahin tum jaan ko us ki
ab ghair ke ghar raat ko matam nahin hota

ghaTti nahin turbat mein bhi furqat ki aziyyat
ye dard wo hai mar ke bhi jo kam nahin hota

taskin to ho jae jo tu phuT ke bah jae
ye tujh se bhi ai dida-e-pur-nam nahin hota

sabza meri turbat ka rag-e-gul nahin bulbul
un aansuon se tere to ye nam nahin hota

miTte hue dekhi hai ajab husn ki taswir
ab koi mare mujh ko zara gham nahin hota

wo bhi to miTe jaan-e-jahan nam tha jaan ka
ye nazm-e-jahan phir bhi to barham nahin hota

kuchh bhi ho 'riyaz' aankh mein aansu nahin aate
mujh ko to kisi baat ka ab gham nahin hota