wo kaun dair-nashin tha haram ke goshe mein
kis ki yaad thi yaad KHuda ke parde mein
kahen to kis se kahen chup si lag gai hai hamein
baDa sukun hai teri be-ruKHi ke sadqe mein
dikha dikha ke jhalak koi chhupta jata tha
kahan kahan na sada di kisi ke dhoke mein
KHabar nahin ki teri yaad kya tera gham kya
magar wo dard jo hota hai sans lene mein
tere firaq ki ye din bhi qayamat hai
kahan ki aag samo di hai mere naghme mein
chali thi kashti-e-dil baadban-e-yaad ke sath
kahan utar gai ajnabi jazire mein
wo aadhi raat wo sunsan rasta wo makan
wo ek shama si jalti hui dariche mein
nasheb-e-wadi-e-gham mein utar gaya hai koi
khaDa hua hai koi aaj tak jharoke mein
hayat kya hai ajal ko bhi haar baiThe 'shaz'
kahin ke bhi na rahe naqd-e-dil ke saude mein

Ghazal
Wo kaun dair-nashin tha haram ke goshe mein
Shaz Tamkanat