wo karenge mera qusur muaf
ho chuka kar chuke zarur muaf
husn ko be-qusur kahte hain
hai qusur aap ka qusur muaf
main ne ye jaan kar KHataen kin
har KHata hogi bizzarur muaf
wo hansi aa gai tere lab par
ho gaya wo mera qusur muaf
be-KHudi mein jo ho KHata hum se
kam se kam wo to ho zarur muaf
KHamushi un ki mujh se kahti hai
ab hua ab hua qusur muaf
phir na tum baKHshna kabhi mujh ko
pahli taqsir ho zarur muaf
hath bhi joDe panw par bhi gira
ab to kah do kiya qusur muaf
hai yahi kaam us ki rahmat ka
honge mere gunah zarur muaf
aur aadat meri KHarab hui
kash karte na wo qusur muaf
KHud ye iqrar-e-jurm karte hain
kijiye 'nuh' ko zarur muaf
Ghazal
Wo karenge mera qusur muaf
Nooh Narvi

