wo kahte hain ranjish ki baaten bhula den
mohabbat karen KHush rahen muskura den
ghurur aur hamara ghurur-e-mohabbat
mah o mehr ko un ke dar par jhuka den
jawani ho gar jawedani to ya rab
teri sada duniya ko jannat bana den
shab-e-wasl ki be-KHudi chha rahi hai
kaho to sitaron ki shamen bujha den
bahaaren simaT aaen khil jaen kaliyan
jo hum tum chaman mein kabhi muskura den
ibaadat hai ek be-KHudi se ibarat
haram ko mai-e-mushk-bu se basa den
wo aaenge aaj ai bahaar-e-mohabbat
sitaron ke bistar pe kaliyan bichha den
banata hai munh talKHi-e-mai se zahid
tujhe bagh-e-rizwan se kausar manga den
jinhen umr bhar yaad aana sikhaya
wo dil se teri yaad kyunkar bhula den
tum afsana-e-qais kya puchhte ho
idhar aao hum tum ko laila bana den
ye be-dardiyan kab tak ai dard-e-ghurbat
buton ko phir arz-e-haram mein basa den
wo sarmastiyan baKHsh ai rashk-e-shirin
ki KHusru ko KHwab-e-adam se jaga den
tere wasl ki be-KHudi kah rahi hai
KHudai to kya hum KHuda ko bhula den
unhen apni surat pe yun naz kab tha
mere ishq-e-ruswa ko 'aKHtar' dua den
Ghazal
Wo kahte hain ranjish ki baaten bhula den
Akhtar Shirani