wo kahin tha kahin dikhai diya
main jahan tha wahin dikhai diya
KHwab mein ek hasin dikhai diya
wo bhi parda-nashin dikhai diya
jab talak tu nahin dikhai diya
ghar kahin ka kahin dikhai diya
roz chehre ne aaine badle
jo nahin tha nahin dikhai diya
bad-maza kyun hain aasman wale
main zamin tha zamin dikhai diya
us ko le kar chali gai gaDi
phir hamein kuchh nahin dikhai diya
Ghazal
Wo kahin tha kahin dikhai diya
Fahmi Badayuni

