wo kahan sath sulate hain mujhe
KHwab kya kya nazar aate hain mujhe
us pari-wash se lagate hain mujhe
log diwana banate hain mujhe
ya rab un ka bhi janaza uTThe
yar us ku se uThate hain mujhe
abru-e-tegh se ima hai ki aa
qatl karne ko bulate hain mujhe
bewafai ka udu ki hai gila
lutf mein bhi wo satate hain mujhe
hairat-e-husn se ye shakl bani
ki wo aaina dikhate hain mujhe
phunk de aatish-e-dil dagh mere
us ki KHu yaad dilate hain mujhe
gar kahe ghamza kise qatl karun
to ishaarat se batate hain mujhe
main to us zulf ki bu par ghash hun
chaaragar mushk sunghate hain mujhe
shola-ru kahte hain aghyar ko wo
apne nazdik jalate hain mujhe
jaan gai par na gai jaur-kashi
baad-e-murdan bhi dabaate hain mujhe
wo jo kahte hain tujhe aag lage
muzhda-e-wasl sunate hain mujhe
ab ye surat hai ki ai parda-nashin
tujh se ahbab chhupate hain mujhe
'momin' aur dair KHuda KHair kare
taur beDhab nazar aate hain mujhe
Ghazal
Wo kahan sath sulate hain mujhe
Momin Khan Momin