wo kahan mujh pe jafa karta tha
jo muqaddar tha mila karta tha
aaj sharmata hai suraj us se
wo jo taron se haya karta tha
sochta hun to hansi aati hai
samne us ke main kya karta tha
main paDa rahta tha uftadgi se
jada-e-shauq chala karta tha
yaad aaya hai ki KHush-bashi ko
gham ka afshurda piya karta tha
gard-e-rah ban ke jo yun baiTha hun
surat-e-shoala uTha karta tha
dil se ek huk bhi ab uThti nahin
dil ki hangama bapa karta tha
manzilon tak hai kaDi dhup khaDi
main bhi sae mein chala karta tha
ab wo marne ki uDate hain KHabar
jin pe marne ko jiya karta tha
wo bhi milte the kabhi mujh se 'nazar'
kabhi aisa bhi hua karta tha

Ghazal
Wo kahan mujh pe jafa karta tha
Qayyum Nazar