اردو हिंदी
Wo kah to gae hain ki hum aawenge sahar tak | Shaahi Shayari
wo kah to gae hain ki hum aawenge sahar tak

Ghazal

Wo kah to gae hain ki hum aawenge sahar tak

Tanvir Dehlvi

;

wo kah to gae hain ki hum aawenge sahar tak
ummid hai jine ki kise chaar-pahar tak

zulmat-o-adam mein na raha farq sar-e-mu
wo zulf-e-dota chhuTte hi pahonche hai kamar tak

hai rauzan-e-dar-dida-e-KHurshid-e-qayamat
wo jhankne aae the kuhan rauzan-e-dar tak

kuchh kah den ishaaron hi se wo munh se na bolen
wo mangen to hum jaan talak den unhen sar tak

'tanwir' suKHan-fahm samajhte hain suKHan ko
kuchh qadr hunar ki hai to hai ahl-e-hunar tak