wo kabhi shaKH-e-gul-e-tar ki tarah lagta hai
aur kabhi dashna-o-KHanjar ki tarah lagta hai
le ke aaya hun main kuchh KHwab un aankhon ke liye
aaina bhi jinhen patthar ki tarah lagta hai
hadse aise bhi guzre ki tasawwur jin ka
dil ko chhu jae to Thokar ki tarah lagta hai
halchalen daera-e-jaan mein chhupi rahti hain
jis se miliye wo samundar ki tarah lagta hai
kaisa mausam hai ki chubhti hain badan mein kirnen
sar pe suraj kisi KHanjar ki tarah lagta hai
aadmi shiddat-e-ehsas ka mara ho agar
barg-e-gul bhi use patthar ki tarah lagta hai
dasht-e-be-ab mein jalte hue honTon ko 'bashir'
ek qatra bhi samundar ki tarah lagta hai
Ghazal
Wo kabhi shaKH-e-gul-e-tar ki tarah lagta hai
Bashir Farooq