wo kabhi mil jaen to kya kijiye
raat din surat ko dekha kijiye
chandni raaton mein ek ek phul ko
be-KHudi kahti hai sajda kijiye
jo tamanna bar na aae umr bhar
umr bhar us ki tamanna kijiye
ishq ki ranginiyon mein Dub kar
chandni raaton mein roya kijiye
puchh baiThe hain hamara haal wo
be-KHudi tu hi bata kya kijiye
hum hi us ke ishq ke qabil na the
kyun kisi zalim ka shikwa kijiye
aap hi ne dard-e-dil baKHsha hamein
aap hi is ka mudawa kijiye
kahte hain 'aKHtar' wo sun kar mere sher
is tarah hum ko na ruswa kijiye
Ghazal
Wo kabhi mil jaen to kya kijiye
Akhtar Shirani