wo kabhi mail-e-wafa na hua
mera chaha hua bura na hua
mar gae wasl-e-dil-ruba na hua
muddaa hasb-e-muddaa na hua
us se mazmun bandha na choTi ka
zulf-e-jaanan pe jo fida na hua
qaid-e-marqad mili pas-e-murdan
jaan de kar bhi mein riha na hua
tu ne yarab zaban to di mujh ko
shukr tera magar ada na hua
dam nikalta buton pe kya lekin
ye bhi ek maut ka bahana hua
faiz-e-'ishrat' se ab tu ai 'nadir'
mein bhi ek shaer-e-yagana hua

Ghazal
Wo kabhi mail-e-wafa na hua
Nadir Shahjahanpuri