wo kash waqt ke pahre ko toD kar aate
jo mahw-e-KHwab hain un ko jhinjhoD kar aate
na uThti koi nigah-e-ghalat sar-e-mahfil
wo apne jalwe ko ghar apne chhoD kar aate
udas aankhon ko dekha to ye KHayal aaya
chaman ke phulon se shabnam nichoD kar aate
asa-e-musa kabhi hath lag gaya hota
firaun-e-waqt ka sar hum bhi phoD kar aate
agar thi chehre pe raunaq ki aarzu un ko
musibaton ki kalai maroD kar aate
udhar na niklenge wo nazar-e-bad ka KHadsha hai
KHabar ye hoti to hum aankhen phoD kar aate
suna ki aaj bhi danishwaron mein KHub machi
'asar' bhi aate to himmat baTor kar aate

Ghazal
Wo kash waqt ke pahre ko toD kar aate
Marghoob Asar Fatmi