wo kash man leta kabhi ham-safar mujhe
to rasto ke pech ka hota na Dar mujhe
be-shak ye aaina mujhe ji bhar sanwar de
par dekhti nahin hai ab us ki nazar mujhe
diwar jo giri hai to ilzam kis ko dun
meri KHushi hi lai thi sajan ke ghar mujhe
mayusiyon ne shakl ki rangat bigaD di
pahchanta nahin hai mera hi nagar mujhe
aai thi is taraf to kyun mujh se mili nahin
ab ke bahaar lag rahi hai muKHtasar mujhe
main 'chandni' hun nur hai mujh se jahan mein
dikhla raha hai kaun andhere ka Dar mujh
Ghazal
Wo kash man leta kabhi ham-safar mujhe
Chandni Pandey