اردو हिंदी
Wo junun ke ahd ki chandni ye gahan gahan ki udasiyan | Shaahi Shayari
wo junun ke ahd ki chandni ye gahan gahan ki udasiyan

Ghazal

Wo junun ke ahd ki chandni ye gahan gahan ki udasiyan

Shamim Karhani

;

wo junun ke ahd ki chandni ye gahan gahan ki udasiyan
wo qafas qafas ki chahal-pahal ye chaman chaman ki udasiyan

jo mahal ke jhaD utar lo to mile zamin ko bhi raushni
inhin KHalwaton ne baDhai hain meri anjuman ki udasiyan

mera dil hai dasht-e-gham jahan kabhi aa ke sair to kijiye
ye junun junun ki musafirat ye watan watan ki udasiyan

mujhe kaise dasht mein lae tum ki sadi sadi ke safar pe bhi
wahi rang-o-nasl ki wahshaten wahi ma-o-man ki udasiyan

koi ai 'shamim' kahe zara ye udas shair-e-waqt se
ki hayat-e-dil ko bujha na den kahin fikr-o-fan ki udasiyan