اردو हिंदी
Wo jo sarf-e-nigah karta hai | Shaahi Shayari
wo jo sarf-e-nigah karta hai

Ghazal

Wo jo sarf-e-nigah karta hai

Atiiqullah

;

wo jo sarf-e-nigah karta hai
is tamashe ka ek hissa hai

ek andhera hun sar se panw tak
phir ye pahlu mein kiya chamakta hai

ek din un ko zinda dekha tha
jan buzurgon ka ye asasa hai

shahr-e-matam ki is bala se na Dar
aaina bhi tilism rakhta hai

kis ke pairon ke naqsh hain mujh mein
mere andar ye kaun chalta hai

naqsh hai kaun aasmanon mein
in zaminon mein kis ka chehra hai

main ne banjar dinon mein kholi hai aankh
main ne peDon ko marte dekha hai