wo jo sab ka bahut chahita tha
qabr ki saaton mein tanha tha
jis ne duniya ko KHub dekha tha
us ki aankhon mein qahqaha sa tha
ranj kya KHwab ke bikharne ka
kuchh na tha ret ka gharaunda tha
us ke aangan mein raushni thi magar
ghar ke andar baDa andhera tha
wo bhi pathra ke rah gaya aaKHir
us ki aankhon mein jo sawera tha
ek pinjra udas tanhai
us ne kya kya KHuda se manga tha
shaKH jhulsi hui thi aur us par
ek sahma hua parinda tha
qahqahon ki baraat nikli thi
dard ki chiKH kaun sunta tha
pul na tha aur samne us ke
ek tufan-ba-dosh dariya tha
ek KHushbu ka banTne wala
gandi basti ka rahne wala tha
dukh mein aaKHir ye khul gaya 'qaisar'
nam ek maslahat ka rishta tha
Ghazal
Wo jo sab ka bahut chahita tha
Qaisar Shameem