wo jo mumkin na ho mumkin ye bana deta hai
KHwab dariya ke kinaron ko mila deta hai
zindagi bhar ki riyazat meri be-kar gai
ek KHayal aaya tha badle mein wo kya deta hai
ab mujhe lagta hai dushman mera apna chehra
mujh se pahle ye mera haal bata deta hai
chand jumle wo ada karta hai aise Dhab se
mere afkar ki buniyaad hila deta hai
ye bhi eajaz-e-mohabbat hai ki rone wala
rote rote tujhe hansne ki dua deta hai
zindagi jang hai aasab ki aur ye bhi suno
ishq aasab ko mazbut bana deta hai
baiThe baiThe use kya hota hai jaane 'taimur'
jalta cigaret wo hatheli pe bujha deta hai
ye jahan is liye achchha nahin lagta 'taimur'
jab bhi deta hai mujhe tera gila deta hai
Ghazal
Wo jo mumkin na ho mumkin ye bana deta hai
Taimur Hasan