wo jo mujh se milta nahin
shayad mujh ko samjha nahin
us ka gham hai mera gham
mera gham kyun us ka nahin
ab to aisa lagta hai
sach bhi jaise sachcha nahin
us ko kaise bhulun main
ab ye mere bas ka nahin
ab to sab hi karte hain
pyar kisi ko hota nahin
mujh ko zinda rakhta hai
wo jo mujh pe marta nahin

Ghazal
Wo jo mujhse milta nahin
Sagheer Alam