wo jo mubtala hai mohabbaton ke azab mein
koi phuTta hua aabla hai hubab mein
mera ishq shart-e-visal se rahe muttasil
nahin dekhna mujhe KHwab-e-shab shab-e-KHwab mein
jo kashid karne ka hausla hai to kijiye
ki hazar tarah ki rahaten hain azab mein
ye tawaf-e-kaba ye bosa sang-e-siyah ka
ye talash ab bhi hai pattharon ke hijab mein
baDi lazzaten hain gunah mein jo na kijiye
jo na pijie to ajab nasha hai sharab mein
sabhi uzr-ha-e-gunah jab hue mustarad
to dalil kaisi difa-e-kar-e-sawab mein
Ghazal
Wo jo mubtala hai mohabbaton ke azab mein
Syed Mubarak Shah