wo jo milta tha kabhi mujh se bahaaron ki tarah 
aaj chubhta hai nigahon mein wo KHaron ki tarah 
wo bhi kya shaKHs hai jo qasr-e-tasawwur mein mujhe 
rose aarasta karta hai mazaron ki tarah 
Dubne hi nahin deta kabhi kashti meri 
ab bhi wo samne rahta hai kinaron ki tarah 
lakh mahtab meri zist mein aae lekin 
darmiyan tujh ko bhi dekha hai sitaron ki tarah 
us ki aankhon ne ajab sehr kiya hai hum par 
raat-bhar phirte rahe baada-gusaron ki tarah 
aap ki aankhon se kuchh aur pata chalta hai 
aap dekha na karen hum ko nazaron ki tarah 
kis ko malum chhupae hai wo KHanjar kitne 
wo jo zahir mein mila karta hai yaron ki tarah 
us ke chehre pe to narmi hai halawat hai bahut 
'shama' lahja hai magar us ka shararon ki tarah
        Ghazal
Wo jo milta tha kabhi mujhse bahaaron ki tarah
Syeda Nafis Bano shama

