wo jo mere pas se ho kar kisi ke ghar gaya
reshmi malbus ki KHushbu se jadu kar gaya
ek jhalak dekhi thi us ru-e-dil-ara ki kabhi
phir na aankhon se wo aisa dilruba manzar gaya
shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryan rahi
raat baadal is tarah aae ki main to Dar gaya
thi watan mein muntazir jis ki koi chashm-e-hasin
wo musafir jaane kis sahra mein jal kar mar gaya
subh-e-kazib ki hawa mein dard tha kitna 'munir'
rail ki siTi baji to dil lahu se bhar gaya
Ghazal
Wo jo mere pas se ho kar kisi ke ghar gaya
Muneer Niyazi